Thursday, September 4, 2014

Jab meine kuch kaha

jab meine kuch kaha, tumne suna nahi
jab meine kuch sunna chaha, tumne kaha nahi
itni be-rukhi mujhse kyun
jab karti ho dusron se batiyan, sunti bhi ho , kehti bhi ho...hasti bhi ho...
Kya ho gaya , kahan kho gaya........ uthte hain ye sawal...
dedo tum mujhe jawab....

Thursday, April 3, 2014

Nigahein

Badi badi nigahon ki
ye jhuki palkein
jab uthti hain
to lagta hai ki mano
swayam bhagwan hath jodkar naman kar rahe hain

Ye sundar nigahein kinhi nigahon se milti hain
to lagta hai ki mano
swayam devlok se sabhi devta foolon ki varsha kar rahe hain

Ye jadoo sa kar dene wali nigahein
kisi bade jaadugar se kam nahi

Pukar

Kehta hai mera dil
sunle koi meri pukar
is bheed mein kahin
kho gayi meri pukar

aur bhi kuch kehna hai
isliye kehta hai mera dil
sunle koi meri pukar

uthte beithte sochta hai dil
jaane kyun nahi sunsakta woh meri pukar
ya woh sunna nahi chahta meri pukar

Aj fir bhar aya mera dil ye sochkar ki kahin khogayi meri pukar

Anjaan Chehra

Anjaan Chehra , Anjaani Baatein
Kyun Hasti hai woh aise
le jati hai woh mujhe kisi aise sansar mein
jahan mein aur woh aur humari hasi ki goonj hi hai katar mein

jab hum  haste hain to lagta hai
sara sansar hus raha hai
aur wo samne beitha rab (god) bhi hume dekh hus raha hai

Auur Kya kahien uski husi ke charche
humne to khudko uski hasi pe marte dekha hai

Ab has has ke pet (stomach) dukhta hai
isliye is hasi ko yahin rokte hain
kal fir holenge uske sath is hasi ke sansar mein!!